main jo kal pairahan-e-KHak badal kar aaya
maiñ jo kal pairahan-e-ḳhāk badal kar aaya
vo bhī milne na.ī poshāk badal kar aaya
ai zamīñ-zād tirī rif.ateñ chhūne ke liye
tujh talak maiñ ka.ī aflāk badal kar aaya
ham se kar be-sar-o-sāmānī-e-hijrat pe savāl
us se mat pūchh jo imlāk badal kar aaya
'ishq meñ koī takalluf kī zarūrat to nahīñ
phir vo kyoñ dīda-e-namnāk badal kar aaya
us ko raas aa.ī hai ye bazm-e-jahāñ jo bhī yahāñ
apnā paimāna-e-idrāk badal kar aaya
āñsuoñ se na badal paayā ruḳh-e-bād-e-jamāl
par mizāj-e-ḳhas-o-ḳhāshāk badal kar aaya
main jo kal pairahan-e-KHak badal kar aaya
wo bhi milne nai poshak badal kar aaya
ai zamin-zad teri rifaten chhune ke liye
tujh talak main kai aflak badal kar aaya
hum se kar be-sar-o-samani-e-hijrat pe sawal
us se mat puchh jo imlak badal kar aaya
'ishq mein koi takalluf ki zarurat to nahin
phir wo kyon dida-e-namnak badal kar aaya
us ko ras aai hai ye bazm-e-jahan jo bhi yahan
apna paimana-e-idrak badal kar aaya
aansuon se na badal paya ruKH-e-baad-e-jamal
par mizaj-e-KHas-o-KHashak badal kar aaya
- Book : Akelepan Ki Intiha (Pg. 89)
- Author : Jamal Ehsani
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.