main jo ruTha to manane aae
maiñ jo rūThā to manāne aa.e
shāyad ab hosh Thikāne aa.e
ho ke majbūr aaj tere huzūr
ġham kī rūdād sunāne aa.e
ho tumhīñ darpa.e-āzār to phir
kaun taskīn dilāne aa.e
jab maiñ jānūñ ki mirī tarah koī
yuuñ tire naaz uThāne aa.e
dostoñ ne bhī churā liiñ nazreñ
mujh pe aise bhī zamāne aa.e
yād-e-māzī hai ġhanīmat 'fayyāz'
lauT kar kis ke zamāne aa.e
main jo ruTha to manane aae
shayad ab hosh Thikane aae
ho ke majbur aaj tere huzur
gham ki rudad sunane aae
ho tumhin darpae-azar to phir
kaun taskin dilane aae
jab main jaanun ki meri tarah koi
yun tere naz uThane aae
doston ne bhi chura lin nazren
mujh pe aise bhi zamane aae
yaad-e-mazi hai ghanimat 'fayyaz'
lauT kar kis ke zamane aae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.