main jo Thahra Thaharta chala jaunga
maiñ jo Thahrā Thahartā chalā jā.ūñgā
yā zamīñ meñ utartā chalā jā.ūñgā
jis jagah nuur kī bārisheñ tham ga.iiñ
vo jagah tujh se bhartā chalā jā.ūñgā
darmiyāñ meñ agar maut aa bhī ga.ī
us ke sar se guzartā chalā jā.ūñgā
tere qadmoñ ke āsār jis jā mile
is hathelī pe dhartā chalā jā.ūñgā
duur hotā chalā jā.ūñgā duur tak
paas hī se ubhartā chalā jā.ūñgā
raushnī rakhtā jā.egā tū haath par
aur maiñ tahrīr kartā chalā jā.ūñgā
main jo Thahra Thaharta chala jaunga
ya zamin mein utarta chala jaunga
jis jagah nur ki barishen tham gain
wo jagah tujh se bharta chala jaunga
darmiyan mein agar maut aa bhi gai
us ke sar se guzarta chala jaunga
tere qadmon ke aasar jis ja mile
is hatheli pe dharta chala jaunga
dur hota chala jaunga dur tak
pas hi se ubharta chala jaunga
raushni rakhta jaega tu hath par
aur main tahrir karta chala jaunga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.