main jo tujhse mila nahin hota
maiñ jo tujh se milā nahīñ hotā
ye mirā martaba nahīñ hotā
jo muqaddar meñ thā milā tujh ko
sab ko sab kuchh atā nahīñ hotā
chhīn mat haq tū apne chhoToñ kā
aadmī yuuñ baḌā nahīñ hotā
log yuuñ to gale lagāte haiñ
pyaar dil meñ zarā nahīñ hotā
saath detā jo tū safar phir ye
itnā mushkil-bharā nahīñ hotā
haal paḌh letā maañ ke chehre se
vo jo likkhā-paḌhā nahīñ hotā
ġhaflatoñ meñ 'asar' na hotā tū
tiir us kā ḳhatā nahīñ hotā
main jo tujh se mila nahin hota
ye mera martaba nahin hota
jo muqaddar mein tha mila tujh ko
sab ko sab kuchh ata nahin hota
chhin mat haq tu apne chhoTon ka
aadmi yun baDa nahin hota
log yun to gale lagate hain
pyar dil mein zara nahin hota
sath deta jo tu safar phir ye
itna mushkil-bhara nahin hota
haal paDh leta man ke chehre se
wo jo likkha-paDha nahin hota
ghaflaton mein 'asar' na hota tu
tir us ka KHata nahin hota
- Book : Rang Sapno ke (Pg. 23)
- Author : Pramod Sharma 'Asar'
- Publication : Amrit Parkashan (2016)
- Edition : 2016
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.