main jumbish-e-lab dekh ke samjha suKHan-e-mauj
main jumbish-e-lab dekh ke samjha suKHan-e-mauj
Karamat Ali Shaheedi
MORE BYKaramat Ali Shaheedi
maiñ jumbish-e-lab dekh ke samjhā suḳhan-e-mauj
pur-vasf tabassum se tire hai dahan-e-mauj
har dil meñ tire jalva-e-vāhid kā hai partav
ik sham.a-e-qamar raunaq-e-sad-anjuman-e-mauj
dīvāna tirā band-e-ta'alluq se hai āzād
kab bāñdh sake āb-e-ravāñ ko rasan-e-mauj
vo gul jo nahāne ko sahar hauz meñ utrā
thā ḳhanda-zanāñ mauj-e-chaman par chaman-e-mauj
mashshāta-garī apnī sabā laakh dikhā de
pahuñche ḳham-e-gesū ko tire kab shikan-e-mauj
poshāk-e-mukallaf kī na rakh hirs 'shahīdī'
be-chāk utū yaañ na huā pairahan-e-mauj
main jumbish-e-lab dekh ke samjha suKHan-e-mauj
pur-wasf tabassum se tere hai dahan-e-mauj
har dil mein tere jalwa-e-wahid ka hai partaw
ek shama-e-qamar raunaq-e-sad-anjuman-e-mauj
diwana tera band-e-ta'alluq se hai aazad
kab bandh sake aab-e-rawan ko rasan-e-mauj
wo gul jo nahane ko sahar hauz mein utra
tha KHanda-zanan mauj-e-chaman par chaman-e-mauj
mashshata-gari apni saba lakh dikha de
pahunche KHam-e-gesu ko tere kab shikan-e-mauj
poshak-e-mukallaf ki na rakh hirs 'shahidi'
be-chaak utu yan na hua pairahan-e-mauj
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.