main kab rahin-e-reg-e-bayaban-e-yas tha
maiñ kab rahīn-e-reg-e-bayābān-e-yās thā
sad-ḳhema-e-bahār mire aas paas thā
toḌā hai bār-hā mujhe dil kī shikast ne
chehra magar zarā bhī na merā udaas thā
sahrā-e-jāñ kī dhuup meñ thiiñ vahshateñ bahut
lekin na merā 'azm kahīñ bad-havās thā
ye aur baat hai ki barahna thī zindagī
maujūd phir bhī mere badan par libās thā
maiñ ne har ek lamhe ko chāhā hai TuuT kar
thā zindagī-parast mohabbat-shanās thā
mausam kuchh aa.e aise bhī shahr-e-ḳhayāl meñ
mujh ko na jin kā 'ilm na koī qayās thā
fikr-e-suḳhan hī 'ashk' hai zauq-e-amal mirā
is ke sivā na kār-e-jahāñ koī raas thā
main kab rahin-e-reg-e-bayaban-e-yas tha
sad-KHema-e-bahaar mere aas pas tha
toDa hai bar-ha mujhe dil ki shikast ne
chehra magar zara bhi na mera udas tha
sahra-e-jaan ki dhup mein thin wahshaten bahut
lekin na mera 'azm kahin bad-hawas tha
ye aur baat hai ki barahna thi zindagi
maujud phir bhi mere badan par libas tha
main ne har ek lamhe ko chaha hai TuT kar
tha zindagi-parast mohabbat-shanas tha
mausam kuchh aae aise bhi shahr-e-KHayal mein
mujh ko na jin ka 'ilm na koi qayas tha
fikr-e-suKHan hi 'ashk' hai zauq-e-amal mera
is ke siwa na kar-e-jahan koi ras tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.