main kaha tha kabhi se ye kuchh hai
maiñ kahā thā kabhī se ye kuchh hai
jis kā aalim abhī se ye kuchh hai
jā-e-shikva nahīñ sulūk us kā
dekhtā huuñ sabhī se ye kuchh hai
jab se dekhā hai tujh ko ab to kyā
hālat-e-dil tabhī se ye kuchh hai
ham ne jaanā suḳhan kī shīrīnī
us kī shakkar-labī hī se ye kuchh hai
din ko to ḳhair thī 'hasan' par kuchh
be-qarārī shab hī se ye kuchh hai
main kaha tha kabhi se ye kuchh hai
jis ka aalim abhi se ye kuchh hai
ja-e-shikwa nahin suluk us ka
dekhta hun sabhi se ye kuchh hai
jab se dekha hai tujh ko ab to kya
haalat-e-dil tabhi se ye kuchh hai
hum ne jaana suKHan ki shirini
us ki shakkar-labi hi se ye kuchh hai
din ko to KHair thi 'hasan' par kuchh
be-qarari shab hi se ye kuchh hai
- Deewan-e-Meer Hasan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.