main kahan hun ki mera jism to saya hai mera
maiñ kahāñ huuñ ki mirā jism to saaya hai mirā
ye haqīqat hai ki har ḳhvāb parāyā hai mirā
rū-ba-rū aa.ine meñ aks vo apnā hī sahī
ḳhush huā huuñ ki mire ghar koī aaya hai mirā
tū mire ishq se inkār karegā kaise
ḳhāl-o-ḳhad meñ tire chehra ubhar aaya hai mirā
kyoñ mujhe band kiyā hai sar-e-tah-ḳhāna-e-zīst
kuchh to ma.alūm ho kyā jurm ḳhudāyā hai mirā
aag phailī hai kahāñ se mire chāroñ jānib
kis ne ai mauj-e-havā shahr jalāyā hai mirā
saañs lene kī jo koshish kabhī kī hai 'tāriq'
maz.haka ḳhuub havāoñ ne uḌāyā hai mirā
main kahan hun ki mera jism to saya hai mera
ye haqiqat hai ki har KHwab paraya hai mera
ru-ba-ru aaine mein aks wo apna hi sahi
KHush hua hun ki mere ghar koi aaya hai mera
tu mere ishq se inkar karega kaise
KHal-o-KHad mein tere chehra ubhar aaya hai mera
kyon mujhe band kiya hai sar-e-tah-KHana-e-zist
kuchh to malum ho kya jurm KHudaya hai mera
aag phaili hai kahan se mere chaaron jaanib
kis ne ai mauj-e-hawa shahr jalaya hai mera
sans lene ki jo koshish kabhi ki hai 'tariq'
mazhaka KHub hawaon ne uDaya hai mera
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.