main kahan qaid tere halqa-e-zanjir mein tha
maiñ kahāñ qaid tire halqa-e-zanjīr meñ thā
baar baar uThnā mirā ḳhaak kī tāsīr meñ thā
ek ik kar ke sabhī kashtiyāñ bhī Duub ga.iiñ
kyā koī nuqs mirī hasrat-e-tāmīr meñ thā
din talak ḳhud ko sameTe rahe qarya qarya
ḳhuun honā to mirā raat kī tafsīr meñ thā
mere bistar kī hai har ek shikan ḳhūn-ālūd
manzar ik jang-numā ḳhvāb kī ta.abīr meñ thā
chashm-e-zahrāb meñ raḳhshanda rahā sub.h talak
ik hayūlā jo kabhī sho.ala-e-nam-gīr meñ thā
main kahan qaid tere halqa-e-zanjir mein tha
bar bar uThna mera KHak ki tasir mein tha
ek ek kar ke sabhi kashtiyan bhi Dub gain
kya koi nuqs meri hasrat-e-tamir mein tha
din talak KHud ko sameTe rahe qarya qarya
KHun hona to mera raat ki tafsir mein tha
mere bistar ki hai har ek shikan KHun-alud
manzar ek jang-numa KHwab ki tabir mein tha
chashm-e-zahrab mein raKHshanda raha subh talak
ek hayula jo kabhi shoala-e-nam-gir mein tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.