main kahan tak tujhe safai dun
maiñ kahāñ tak tujhe safā.ī duuñ
ḳhud ko ilzām-e-bevafā.ī duuñ
tujh se maiñ dushmanī shadīd karūñ
pyaar bhī tujh ko intihā.ī duuñ
a mirī jaan gar ijāzat ho
zaḳhm ko izn-e-lab-kushā.ī duuñ
zindagī tujh ko e'tibār nahīñ
apne hone kī maiñ gavāhī duuñ
mujh ko ḳhud mere paas le aanā
maiñ tujhe gar kahīñ dikhā.ī duuñ
ik zamāna hai gosh-bar-āvāz
ik zamāne ko maiñ sunā.ī duuñ
vā karūñ tujh pe manzil-e-idrāk
phir tujhe zauq-e-nā-rasā.ī duuñ
main kahan tak tujhe safai dun
KHud ko ilzam-e-bewafai dun
tujh se main dushmani shadid karun
pyar bhi tujh ko intihai dun
a meri jaan gar ijazat ho
zaKHm ko izn-e-lab-kushai dun
zindagi tujh ko e'tibar nahin
apne hone ki main gawahi dun
mujh ko KHud mere pas le aana
main tujhe gar kahin dikhai dun
ek zamana hai gosh-bar-awaz
ek zamane ko main sunai dun
wa karun tujh pe manzil-e-idrak
phir tujhe zauq-e-na-rasai dun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.