main kahan thi kahan se kahan ho gai
maiñ kahāñ thī kahāñ se kahāñ ho ga.ī
āḳhirash ye huā maiñ dhuāñ ho ga.ī
dil meñ jazba thā jo vo fanā ho gayā
ik mohabbat thī jo dāstāñ ho ga.ī
saare armān mere dhare rah ga.e
saarī koshish mirī rā.egāñ ho ga.ī
mujh ko dekhā to dene lagī gāliyāñ
merī tanhā.ī kyā bad-zabāñ ho ga.ī
tajraba ye nayā is safar meñ huā
dhuup meñ tap ke maiñ sā.ebāñ ho ga.ī
ek chehra nigāhoñ se guzrā hī thā
ek tasvīr dil meñ nihāñ ho ga.ī
raakh hotā gayā rafta-rafta badan
zindagī cigarettoñ kā dhuāñ ho ga.ī
main kahan thi kahan se kahan ho gai
aaKHirash ye hua main dhuan ho gai
dil mein jazba tha jo wo fana ho gaya
ek mohabbat thi jo dastan ho gai
sare arman mere dhare rah gae
sari koshish meri raegan ho gai
mujh ko dekha to dene lagi galiyan
meri tanhai kya bad-zaban ho gai
tajraba ye naya is safar mein hua
dhup mein tap ke main saeban ho gai
ek chehra nigahon se guzra hi tha
ek taswir dil mein nihan ho gai
rakh hota gaya rafta-rafta badan
zindagi cigaretton ka dhuan ho gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.