main tha kahta raha par suni na gai
maiñ thā kahtā rahā par sunī na ga.ī
jhūTī koī kahānī bunī na ga.ī
bhiig kar kāñptā thā badan ye merā
dhuup thī sāmne par chunī na ga.ī
kaam ik ye adhūrā merā rah gayā
rañj se ruuh puurī bharī na ga.ī
dhuup thī tez itnī kī sab jal gayā
bhīgtī aañkh se par namī na ga.ī
raat bhar dāstāñ jo sunātā rahā
kāġhazoñ par kahānī likhī na ga.ī
jaane kyā soch kar lab ye hañste rahe
dard se the bhare par hañsī na ga.ī
kyā likhā thā un āñkhoñ meñ 'rāhī' batā
kyā zabāñ thī jo tujh se paḌhī na ga.ī
main tha kahta raha par suni na gai
jhuTi koi kahani buni na gai
bhig kar kanpta tha badan ye mera
dhup thi samne par chuni na gai
kaam ek ye adhura mera rah gaya
ranj se ruh puri bhari na gai
dhup thi tez itni ki sab jal gaya
bhigti aankh se par nami na gai
raat bhar dastan jo sunata raha
kaghazon par kahani likhi na gai
jaane kya soch kar lab ye hanste rahe
dard se the bhare par hansi na gai
kya likha tha un aankhon mein 'rahi' bata
kya zaban thi jo tujh se paDhi na gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.