main kaise jhel sakunga banane wale ka dukh
maiñ kaise jhel sakūñgā banāne vaale kā dukh
chhurī chhurī pe likhā hai lagāne vaale kā dukh
ġhazab kī aañkh adākār thī magar haa.e
tumhārī baat hañsī meñ uḌāne vaale kā dukh
ġhazal meñ dard kī pahle bhī kuchh kamī nahīñ thī
aur is pe ho gayā shāmil sunāne vaale kā dukh
tujhe to dukh hai faqat apnī lā-makānī kā
qayām kar to khulegā Thikāne vaale kā dukh
badan ke chīthḌe uḌte kahīñ havāoñ meñ
sunāne vaale se kam thā chhupāne vaale kā dukh
zamāne ishq kī tafhīm to zarā karnā
be-rozgār batā.e kamāne vaale kā dukh
girāne vaale ke ehsās meñ nahīñ 'qaisar'
ye āsmāñ ko zamīñ par uThāne vaale kā dukh
main kaise jhel sakunga banane wale ka dukh
chhuri chhuri pe likha hai lagane wale ka dukh
ghazab ki aankh adakar thi magar hae
tumhaari baat hansi mein uDane wale ka dukh
ghazal mein dard ki pahle bhi kuchh kami nahin thi
aur is pe ho gaya shamil sunane wale ka dukh
tujhe to dukh hai faqat apni la-makani ka
qayam kar to khulega Thikane wale ka dukh
badan ke chithDe uDte kahin hawaon mein
sunane wale se kam tha chhupane wale ka dukh
zamane ishq ki tafhim to zara karna
be-rozgar batae kamane wale ka dukh
girane wale ke ehsas mein nahin 'qaisar'
ye aasman ko zamin par uThane wale ka dukh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.