main kal likhunga phir ek kahani abhi kahani miTa raha hun
maiñ kal likhūñgā phir ik kahānī abhī kahānī miTā rahā huuñ
laboñ pe bose kī jo namī hai vo rakh ke unglī miTā rahā huuñ
mujhe banānī hai ek mūrat ho ḳhvāb-paikar ḳhayāl-sūrat
bahut ziyāda lagegī miTTī so apnī hastī miTā rahā huuñ
maiñ chīḳhtā huuñ maiñ bhāgtā huuñ kyoñ chīḳhtā huuñ kyoñ bhāgtā huuñ
yahāñ kī galiyoñ meñ maiñ ne likkhī thī jo ḳhamoshī miTā rahā huuñ
maiñ ek TuuTā huā sitārā jo kahkashāñ meñ phirūñ huuñ maarā
nasīb likkhūñgā kyā tumhārā maiñ to mujhe hī miTā rahā huuñ
ye daur-o-duniyā ġhalat pata hai jahāñ maiñ ġhalatī se aa gayā huuñ
kabhī kisī se na ho ye ġhalatī so ye pata hī miTā rahā huuñ
miTāne kī lat lagī hai mujh ko ye lat miTāne lagī hai mujh ko
jo miT chukā hai jo khap chukā hai use maiñ ab bhī miTā rahā huuñ
main kal likhunga phir ek kahani abhi kahani miTa raha hun
labon pe bose ki jo nami hai wo rakh ke ungli miTa raha hun
mujhe banani hai ek murat ho KHwab-paikar KHayal-surat
bahut ziyaada lagegi miTTi so apni hasti miTa raha hun
main chiKHta hun main bhagta hun kyon chiKHta hun kyon bhagta hun
yahan ki galiyon mein main ne likkhi thi jo KHamoshi miTa raha hun
main ek TuTa hua sitara jo kahkashan mein phirun hun mara
nasib likkhunga kya tumhaara main to mujhe hi miTa raha hun
ye daur-o-duniya ghalat pata hai jahan main ghalati se aa gaya hun
kabhi kisi se na ho ye ghalati so ye pata hi miTa raha hun
miTane ki lat lagi hai mujh ko ye lat miTane lagi hai mujh ko
jo miT chuka hai jo khap chuka hai use main ab bhi miTa raha hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.