main kar lun sajda ye jazb-e-asar mile na mile
maiñ kar luuñ sajda ye jazb-e-asar mile na mile
asar mile to tirā sang-e-dar mile na mile
hamāre TuuTe diloñ ko bhī joḌiye sāhib
phir aap sā koī ā.īna-gar mile na mile
safar hī bāñdh liyā paañv meñ to Darnā kyā
sulagtī dhuup meñ koī shajar mile na mile
ḳhudā kare ki mirī us kī ek ho manzil
phir us ke jaisā koī ham-safar mile na mile
nigāh bhar ke dar-o-bām dekh lene do
palaT ke aa.uuñ to phir merā ghar mile na mile
lagā diye haiñ shajar ye ḳhushī hī kyā kam hai
ab in daraḳhtoñ kā mujh ko samar mile na mile
unheñ ḳhabar hai mirī ek ek dhaḌkan kī
balā se mujh ko koī nāma-bar mile na mile
nazar milā ke vo ik baar kah ga.e sab kuchh
dobāra ab mirī un se nazar mile na mile
hamārā dil hī hamārā hai rāhbar 'fārūq'
ab aur koī hameñ rāhbar mile na mile
main kar lun sajda ye jazb-e-asar mile na mile
asar mile to tera sang-e-dar mile na mile
hamare TuTe dilon ko bhi joDiye sahib
phir aap sa koi aaina-gar mile na mile
safar hi bandh liya panw mein to Darna kya
sulagti dhup mein koi shajar mile na mile
KHuda kare ki meri us ki ek ho manzil
phir us ke jaisa koi ham-safar mile na mile
nigah bhar ke dar-o-baam dekh lene do
palaT ke aaun to phir mera ghar mile na mile
laga diye hain shajar ye KHushi hi kya kam hai
ab in daraKHton ka mujh ko samar mile na mile
unhen KHabar hai meri ek ek dhaDkan ki
bala se mujh ko koi nama-bar mile na mile
nazar mila ke wo ek bar kah gae sab kuchh
dobara ab meri un se nazar mile na mile
hamara dil hi hamara hai rahbar 'faruq'
ab aur koi hamein rahbar mile na mile
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.