main KHak mein mile hue gulab dekhta raha
maiñ ḳhaak meñ mile hue gulāb dekhtā rahā
aur aane vaale mausamoñ ke ḳhvāb dekhtā rahā
kisī ne mujh se kah diyā thā zindagī pe ġhaur kar
maiñ shāḳh par khilā huā gulāb dekhtā rahā
khaḌā thā maiñ samundaroñ ko ok meñ liye hue
magar ye shaḳhs ajiib thā sarāb dekhtā rahā
vo us kā mujh ko dekhnā bhī ik tilism thā magar
maiñ aur ik jahāñ pas-e-naqāb dekhtā rahā
vo gahrī niiñd soī thī maiñ niiñd se laḌā huā
so raat bhar sahāb o māhtāb dekhtā rahā
siyāh raat meñ rafīq dushmanoñ se jā mile
maiñ hausloñ kī TūTtī tanāb dekhtā rahā
main KHak mein mile hue gulab dekhta raha
aur aane wale mausamon ke KHwab dekhta raha
kisi ne mujh se kah diya tha zindagi pe ghaur kar
main shaKH par khila hua gulab dekhta raha
khaDa tha main samundaron ko ok mein liye hue
magar ye shaKHs ajib tha sarab dekhta raha
wo us ka mujh ko dekhna bhi ek tilism tha magar
main aur ek jahan pas-e-naqab dekhta raha
wo gahri nind soi thi main nind se laDa hua
so raat bhar sahab o mahtab dekhta raha
siyah raat mein rafiq dushmanon se ja mile
main hauslon ki TuTti tanab dekhta raha
- Book : urdu gazal ka magribi daricha (Pg. 62)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.