main KHizan ko bahaar karta hun
maiñ ḳhizāñ ko bahār kartā huuñ
jabr ko iḳhtiyār kartā huuñ
maut kī tarah kaash bar-haq ho
jis kā maiñ intizār kartā huuñ
ahd-o-paimān par nahīñ lekin
aap par e'tibār kartā huuñ
jo kare yaad dushmanī meñ bhī
aise dushman ko pyaar kartā huuñ
apne zarrāt ko ḳhayāloñ ke
gauhar-e-āb-dār kartā huuñ
dil-nashīñ muḳhtasar salīs āsāñ
shā.erī bā-vaqār kartā huuñ
main KHizan ko bahaar karta hun
jabr ko iKHtiyar karta hun
maut ki tarah kash bar-haq ho
jis ka main intizar karta hun
ahd-o-paiman par nahin lekin
aap par e'tibar karta hun
jo kare yaad dushmani mein bhi
aise dushman ko pyar karta hun
apne zarraat ko KHayalon ke
gauhar-e-ab-dar karta hun
dil-nashin muKHtasar salis aasan
shaeri ba-waqar karta hun
- Book : Shora-e-London (Pg. 110)
- Author : Jauhar Zahiri
- Publication : Books From India (U.K) Ltd. 45, Museum Street, Londan W.C-1 (1985)
- Edition : 1985
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.