main kho chuka hun ajab raste banate hue
maiñ kho chukā huuñ ajab rāste banāte hue
talāsh kartā huuñ ab zā.iche banāte hue
ḳhud apnī raah kī dīvār kar diyā ḳhud ko
mohabbatoñ meñ na.e zāviye banāte hue
bichhā ke jhiil taḳhayyul ke ek sahrā meñ
tujhe bhulā.ūñgā maiñ dā.ere banāte hue
nikal chukā huuñ maiñ apnī hudūd se aage
na.ī radīf na.e qāfiye banāte hue
ye hādisa bhī mujhe pesh aa gayā afsos
ki aa.ina sā huā aa.ine banāte hue
nigal chukā huuñ hazāroñ hī jaam talḳhī ke
surūr-e-jāñ ke liye zā.iqe banāte hue
zamīñ se ubhrā to phir āsmāñ ne kuchlā mujhe
kahīñ kā maiñ na rahā martabe banāte hue
ḳhud apne paañv kī zanjīr ban gayā maiñ to
diloñ ke beach na.e silsile banāte hue
palaT ke dekhā nahīñ maiñ ne zindagī kī taraf
maiñ dauḌtā rahā bas ham ko the banāte hue
milī haiñ mauj-e-'nasīmī' kī qurbateñ mujh ko
aqīdatoñ ke na.e zābte banāte hue
main kho chuka hun ajab raste banate hue
talash karta hun ab zaiche banate hue
KHud apni rah ki diwar kar diya KHud ko
mohabbaton mein nae zawiye banate hue
bichha ke jhil taKHayyul ke ek sahra mein
tujhe bhulaunga main daere banate hue
nikal chuka hun main apni hudud se aage
nai radif nae qafiye banate hue
ye hadisa bhi mujhe pesh aa gaya afsos
ki aaina sa hua aaine banate hue
nigal chuka hun hazaron hi jam talKHi ke
surur-e-jaan ke liye zaiqe banate hue
zamin se ubhra to phir aasman ne kuchla mujhe
kahin ka main na raha martabe banate hue
KHud apne panw ki zanjir ban gaya main to
dilon ke beach nae silsile banate hue
palaT ke dekha nahin main ne zindagi ki taraf
main dauDta raha bas hum ko the banate hue
mili hain mauj-e-'nasimi' ki qurbaten mujh ko
aqidaton ke nae zabte banate hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.