main kho chuka hun apni mohabbat ka eatibar
maiñ kho chukā huuñ apnī mohabbat kā e.atibār
dekhe vo apnī aañkh se hai is kā intizār
har aa.ine pe chhāyā hai dūd-e-ravāñ kā aks
dekhūñ kahāñ maiñ apne ḳhayāloñ kā sabza-zār
le ke uḌā hai shāḳh se pattoñ kī Toliyāñ
yuuñ gungunā rahā hai havāoñ kā ābshār
kyoñ de rahā hai sheroñ meñ lafzoñ se ik fareb
jo dil kā sach hai us ko bhī ik baar tū pukār
dekhā nahīñ hai āñkhoñ se mahsūs to kiyā
karnā paḌā yuuñ us ke bhī hone kā e.atibār
jo har fareb-e-zīst ke jismoñ ko Dhak gayā
us zar-nigār ḳhvāb ke kapḌe na tū utaar
ham ātish-e-fareb se jal kar hue haiñ raakh
rakh de hamārī ḳhaak meñ chāhat kā ik sharār
bahrūp terā ā.ina-e-dil meñ aa basā
ab ruup mere sāmne koī na aur dhaar
main kho chuka hun apni mohabbat ka eatibar
dekhe wo apni aankh se hai is ka intizar
har aaine pe chhaya hai dud-e-rawan ka aks
dekhun kahan main apne KHayalon ka sabza-zar
le ke uDa hai shaKH se patton ki Toliyan
yun gunguna raha hai hawaon ka aabshaar
kyon de raha hai sheron mein lafzon se ek fareb
jo dil ka sach hai us ko bhi ek bar tu pukar
dekha nahin hai aankhon se mahsus to kiya
karna paDa yun us ke bhi hone ka eatibar
jo har fareb-e-zist ke jismon ko Dhak gaya
us zar-nigar KHwab ke kapDe na tu utar
hum aatish-e-fareb se jal kar hue hain rakh
rakh de hamari KHak mein chahat ka ek sharar
bahrup tera aaina-e-dil mein aa basa
ab rup mere samne koi na aur dhaar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.