main KHud bhi sochta hun ye kya mera haal hai
maiñ ḳhud bhī sochtā huuñ ye kyā merā haal hai
jis kā javāb chāhiye vo kyā savāl hai
ghar se chalā to dil ke sivā paas kuchh na thā
kyā mujh se kho gayā hai mujhe kyā malāl hai
āsūdgī se dil ke sabhī daaġh dhul ga.e
lekin vo kaise jaa.e jo shīshe meñ baal hai
be-dast-o-pā huuñ aaj to ilzām kis ko duuñ
kal maiñ ne hī bunā thā ye merā hī jaal hai
phir koī ḳhvāb dekhūñ koī aarzū karūñ
ab ai dil-e-tabāh tirā kyā ḳhayāl hai
main KHud bhi sochta hun ye kya mera haal hai
jis ka jawab chahiye wo kya sawal hai
ghar se chala to dil ke siwa pas kuchh na tha
kya mujh se kho gaya hai mujhe kya malal hai
aasudgi se dil ke sabhi dagh dhul gae
lekin wo kaise jae jo shishe mein baal hai
be-dast-o-pa hun aaj to ilzam kis ko dun
kal main ne hi buna tha ye mera hi jal hai
phir koi KHwab dekhun koi aarzu karun
ab ai dil-e-tabah tera kya KHayal hai
- Book : Tarkash (Pg. 90)
- Author : Javed Akhtar
- Publication : Star Publications Pvt. Ltd (2008)
- Edition : 2008
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.