main KHud gaya na uski ada le gai mujhe
maiñ ḳhud gayā na us kī adā le ga.ī mujhe
maqtal meñ rasm-e-pās-e-vafā le ga.ī mujhe
andar se khokhlā jo thā ballōn kī tarah
chāhā jidhar havā ne uḌā le ga.ī mujhe
ik harf thā jo tum ne sunā an-sunā kiyā
ab DhūñDte phiro ki sadā le ga.ī mujhe
sāhil se merā paañv phisalne kī der thī
ik mauj-e-be-panāh bahā le ga.ī mujhe
baiThā thā chhup ke os kī ThanDī phuvār meñ
aa.ī kaḌaktī dhuup uThā le ga.ī mujhe
jaatā kahāñ ki aage koī rāsta na thā
andhī guphā meñ merī anā le ga.ī mujhe
'sābir' maiñ reza reza ḳhalā meñ bikhar gayā
itnī bulandiyoñ pe havā le ga.ī mujhe
main KHud gaya na us ki ada le gai mujhe
maqtal mein rasm-e-pas-e-wafa le gai mujhe
andar se khokhla jo tha balloon ki tarah
chaha jidhar hawa ne uDa le gai mujhe
ek harf tha jo tum ne suna an-suna kiya
ab DhunDte phiro ki sada le gai mujhe
sahil se mera panw phisalne ki der thi
ek mauj-e-be-panah baha le gai mujhe
baiTha tha chhup ke os ki ThanDi phuwar mein
aai kaDakti dhup uTha le gai mujhe
jata kahan ki aage koi rasta na tha
andhi gupha mein meri ana le gai mujhe
'sabir' main reza reza KHala mein bikhar gaya
itni bulandiyon pe hawa le gai mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.