main KHud hun naqd magar sau udhaar sar par hai
maiñ ḳhud huuñ naqd magar sau udhār sar par hai
ajab vabāl-e-ġham-e-rozgār sar par hai
gumāñ hai sab ko ki huuñ āsmāñ uThā.e hue
safar safar vo qadam kā ġhubār sar par hai
havā-e-jāñ kā taqāzā ki rahiye ghar se duur
ki haiñ jo ghar meñ bayābāñ hazār sar par hai
subuk na samjho mujhe pusht TuuT jā.egī
maiñ ek pal sahī sadiyoñ kā baar sar par hai
zamīñ ke zimme hai jo qarz kyuuñ chukā.ūñ maiñ
zamāna kis liye āḳhir savār sar par hai
hazār ghāTe kā saudā ho ye faqīrī-e-harf
yahī bahut hai kulāh-e-vaqār sar par hai
'fazā' na thā kabhī taaza dimāġh itnā maiñ
hai us kā haath ki shāḳh-e-bahār sar par hai
main KHud hun naqd magar sau udhaar sar par hai
ajab wabaal-e-gham-e-rozgar sar par hai
guman hai sab ko ki hun aasman uThae hue
safar safar wo qadam ka ghubar sar par hai
hawa-e-jaan ka taqaza ki rahiye ghar se dur
ki hain jo ghar mein bayaban hazar sar par hai
subuk na samjho mujhe pusht TuT jaegi
main ek pal sahi sadiyon ka bar sar par hai
zamin ke zimme hai jo qarz kyun chukaun main
zamana kis liye aaKHir sawar sar par hai
hazar ghaTe ka sauda ho ye faqiri-e-harf
yahi bahut hai kulah-e-waqar sar par hai
'faza' na tha kabhi taza dimagh itna main
hai us ka hath ki shaKH-e-bahaar sar par hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.