main KHud ko aazmana chahta hun
maiñ ḳhud ko āzmānā chāhtā huuñ
havā par āshiyāna chāhtā huuñ
jo himmat hai to mere saath aao
ufuq ke paar jaanā chāhtā huuñ
jo minnat-kash nahīñ haiñ bāl-o-par ke
parinde vo uḌānā chāhtā huuñ
nigūñ kar de jo tūfānoñ kā sar bhī
charāġh aisā jalānā chāhtā huuñ
sukūñ baḳhshe jo har āshufta-sar ko
ġhazal aisī sunānā chāhtā huuñ
nazar aa jaa.e jis meñ aks-e-jāñ bhī
vo ā.īna banānā chāhtā huuñ
sarāsīma pashemāñ dil-girafta
maiñ ye mausam haTānā chāhtā huuñ
ḳhayāl-o-ḳhvāb jin meñ hukmrāñ hoñ
vahī duniyā basānā chāhtā huuñ
ziyāda mil ga.ī rone se rāhat
'zafar' ab muskurānā chāhtā huuñ
main KHud ko aazmana chahta hun
hawa par aashiyana chahta hun
jo himmat hai to mere sath aao
ufuq ke par jaana chahta hun
jo minnat-kash nahin hain baal-o-par ke
parinde wo uDana chahta hun
nigun kar de jo tufanon ka sar bhi
charagh aisa jalana chahta hun
sukun baKHshe jo har aashufta-sar ko
ghazal aisi sunana chahta hun
nazar aa jae jis mein aks-e-jaan bhi
wo aaina banana chahta hun
sarasima pasheman dil-girafta
main ye mausam haTana chahta hun
KHayal-o-KHwab jin mein hukmran hon
wahi duniya basana chahta hun
ziyaada mil gai rone se rahat
'zafar' ab muskurana chahta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.