main KHush hua ki bud mein rakkha gaya mujhe
maiñ ḳhush huā ki buud meñ rakkhā gayā mujhe
hālāñki bas quyūd meñ rakkhā gayā mujhe
ḳhadshāt kī salīb pe khīñchī ga.ī hayāt
hālāt ke jumūd meñ rakkhā gayā mujhe
jis samt bhī gayā maiñ ajal mere saath thī
ya.anī mirī hudūd meñ rakkhā gayā mujhe
barfāb ḳhvāb jab mirī āñkhoñ meñ aa base
ik hashr kī numūd meñ rakkhā gayā mujhe
duniyā ko dekhtā huuñ yuuñ hairat se roz-o-shab
jaise abhī vajūd meñ rakkhā gayā mujhe
be-sāz gungunāyā gayā mujh ko har ghaḌī
be-tāl hī surūd meñ rakkhā gayā mujhe
to kyā baqā freb-zada harf hai faqīh
to kyā faqat nabūd meñ rakkhā gayā mujhe
main KHush hua ki bud mein rakkha gaya mujhe
haalanki bas quyud mein rakkha gaya mujhe
KHadshat ki salib pe khinchi gai hayat
haalat ke jumud mein rakkha gaya mujhe
jis samt bhi gaya main ajal mere sath thi
yani meri hudud mein rakkha gaya mujhe
barfab KHwab jab meri aankhon mein aa base
ek hashr ki numud mein rakkha gaya mujhe
duniya ko dekhta hun yun hairat se roz-o-shab
jaise abhi wajud mein rakkha gaya mujhe
be-saz gungunaya gaya mujh ko har ghaDi
be-tal hi surud mein rakkha gaya mujhe
to kya baqa freb-zada harf hai faqih
to kya faqat nabud mein rakkha gaya mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.