main KHush-nasib KHair se raushan-KHayal tha
maiñ ḳhush-nasīb ḳhair se raushan-ḳhayāl thā
varna añdherī raat meñ chalnā muhāl thā
koī libās raas na aayā mujhe magar
maiñ be-libāsiyoñ meñ bhī apnī misāl thā
bachchoñ kī tarh ham ne guzāre haiñ chaar din
fikr-e-'urūj thī na ḳhayāl-e-zavāl thā
yuuñ hī nahīñ baḌhe haiñ diloñ ke ye fāsle
vo bhī thā paat paat jo maiñ Daal Daal thā
zālim javāniyoñ ke qasīde haiñ in dinoñ
hāfiz kā ek she'r mujhe nek-fāl thā
āḳhir zamīn oḌh ke be-fikr so rahe
lab par shikāyateñ thiiñ na dil meñ malāl thā
main KHush-nasib KHair se raushan-KHayal tha
warna andheri raat mein chalna muhaal tha
koi libas ras na aaya mujhe magar
main be-libasiyon mein bhi apni misal tha
bachchon ki tarh hum ne guzare hain chaar din
fikr-e-'uruj thi na KHayal-e-zawal tha
yun hi nahin baDhe hain dilon ke ye fasle
wo bhi tha pat pat jo main Dal Dal tha
zalim jawaniyon ke qaside hain in dinon
hafiz ka ek she'r mujhe nek-fal tha
aaKHir zamin oDh ke be-fikr so rahe
lab par shikayaten thin na dil mein malal tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.