main ki apne hi aas-pas nahin
maiñ ki apne hī ās-pās nahīñ
so bhī ab mujh ko terī aas nahīñ
zindagī ke bane nahīñ imkān
maut kā bhī koī qayās nahīñ
qahr par qahr mujh pe TuuTe haiñ
kyā sitam hai ki maiñ udaas nahīñ
chāhtā huuñ ki tujh ko yaad rakhūñ
par ye chāhat bhī utnī ḳhaas nahīñ
rah ke duniyā meñ duniyā vāloñ se
kahtā phirtā huuñ duniyā raas nahīñ
merī ḳhvāhish hai dariyā paas aa.e
aur maiñ kah duuñ ki mujh ko pyaas nahīñ
main ki apne hi aas-pas nahin
so bhi ab mujh ko teri aas nahin
zindagi ke bane nahin imkan
maut ka bhi koi qayas nahin
qahr par qahr mujh pe TuTe hain
kya sitam hai ki main udas nahin
chahta hun ki tujh ko yaad rakhun
par ye chahat bhi utni KHas nahin
rah ke duniya mein duniya walon se
kahta phirta hun duniya ras nahin
meri KHwahish hai dariya pas aae
aur main kah dun ki mujh ko pyas nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.