main kin logon se milna chahti thi
maiñ kin logoñ se milnā chāhtī thī
ye kin logoñ se milnā paḌ rahā hai
ilāhī ḳhair kar tū is jahāñ kī
lahū ko rang kahnā paḌ rahā hai
kahānī ban ga.e duniyā meñ ham bhī
koī qissa purānā ghaḌ rahā hai
mire dāman pe jo kuchh likh gayā vo
usī ko roz paḌhnā paḌ rahā hai
na jaane kal kā sūraj kyā dikhā.e
abhī to sabr karnā paḌ rahā hai
kasak 'ruḳhsār' dil meñ hai abhī tak
koī kāñTā sā jaise gaḌ rahā hai
main kin logon se milna chahti thi
ye kin logon se milna paD raha hai
ilahi KHair kar tu is jahan ki
lahu ko rang kahna paD raha hai
kahani ban gae duniya mein hum bhi
koi qissa purana ghaD raha hai
mere daman pe jo kuchh likh gaya wo
usi ko roz paDhna paD raha hai
na jaane kal ka suraj kya dikhae
abhi to sabr karna paD raha hai
kasak 'ruKHsar' dil mein hai abhi tak
koi kanTa sa jaise gaD raha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.