main kis tilism ke ghere mein hun pata bhi nahin
maiñ kis tilism ke ghere meñ huuñ patā bhī nahīñ
ki paañv chalte rahe rāsta kaTā bhī nahīñ
tirā ḳhayāl bhī aa.e to kis tarah aa.e
tirā ḳhayāl to dil se kabhī gayā bhī nahīñ
na jaane kaun ye andar chhupā huā hai mire
maiñ apne jism se itnā to āshnā bhī nahīñ
kareñ to kaise kareñ habs TūTne kī duā
ye vo dayār ki chaltī yahāñ havā bhī nahīñ
ye qarya kaun sā hai badduā ye kis kī hai
yahāñ to lab pe kisī ke koī duā bhī nahīñ
us ek shaḳhs kī har baat maan lī hai 'nadīm'
vo ek shaḳhs agarche mirā ḳhudā bhī nahīñ
main kis tilism ke ghere mein hun pata bhi nahin
ki panw chalte rahe rasta kaTa bhi nahin
tera KHayal bhi aae to kis tarah aae
tera KHayal to dil se kabhi gaya bhi nahin
na jaane kaun ye andar chhupa hua hai mere
main apne jism se itna to aashna bhi nahin
karen to kaise karen habs TuTne ki dua
ye wo dayar ki chalti yahan hawa bhi nahin
ye qarya kaun sa hai baddua ye kis ki hai
yahan to lab pe kisi ke koi dua bhi nahin
us ek shaKHs ki har baat man li hai 'nadim'
wo ek shaKHs agarche mera KHuda bhi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.