main kisi jawaz ke hisar mein na tha
maiñ kisī javāz ke hisār meñ na thā
merā shauq mere iḳhtiyār meñ na thā
duur na.ī tāqatoñ ne jang laḌī thī
ḳhauf abhī ruuh ke javār meñ na thā
sirf merī zaat sogvār khaḌī thī
aur koī niiñd ke ġhubār meñ na thā
lahr ke qarīb merī pyaas paḌī thī
abr koī shaam ke dayār meñ na thā
yaad tirī thī ki mire dil meñ gaḌī thī
dard mirā thā kisī shumār meñ na thā
main kisi jawaz ke hisar mein na tha
mera shauq mere iKHtiyar mein na tha
dur nai taqaton ne jang laDi thi
KHauf abhi ruh ke jawar mein na tha
sirf meri zat sogwar khaDi thi
aur koi nind ke ghubar mein na tha
lahr ke qarib meri pyas paDi thi
abr koi sham ke dayar mein na tha
yaad teri thi ki mere dil mein gaDi thi
dard mera tha kisi shumar mein na tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.