Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

main kisi shoKH ki gali mein nahin

Nooh Narvi

main kisi shoKH ki gali mein nahin

Nooh Narvi

MORE BYNooh Narvi

    maiñ kisī shoḳh galī meñ nahīñ

    zindagī merī zindagī meñ nahīñ

    ham vafā umiid kyā rakkheñ

    kis meñ hogī jo aap meñ nahīñ

    koī kaisā hai koī kaisā hai

    ādamiyyat har aadmī meñ nahīñ

    tazkira vafā suntā huuñ

    ye kisī meñ hai kisī meñ nahīñ

    us milnā hai apne khone par

    fil-haqīqat ḳhudā ḳhudī meñ nahīñ

    kis se pūchhūñ ki raat kyā guzrī

    ahl-e-bazm apne hosh meñ nahīñ

    vo ghaTā āsmān par uTThī

    uzr ab mujh ko mai-kashī meñ nahīñ

    guftugū un dostī meñ hai

    shak hameñ un dushmanī meñ nahīñ

    hai ḳhudī aur be-ḳhudī kuchh aur

    be-ḳhudī maza ḳhudī meñ nahīñ

    koī chilman uThā.e baiThā hai

    koī apne havās meñ nahīñ

    ġhaur se dekhiye to sab kuchh hai

    kaun baat aadmī meñ nahīñ

    ye bhī ho vo bhī ho to lutf aa.e

    kuchh nahīñ laag agar lagī meñ nahīñ

    kaun vasf kaun ḳhūbī

    hazrat-e-'nūh-nārvī' meñ nahīñ

    main kisi shoKH ki gali mein nahin

    zindagi meri zindagi mein nahin

    hum wafa ki umid kya rakkhen

    kis mein hogi jo aap hi mein nahin

    koi kaisa hai koi kaisa hai

    aadamiyyat har aadmi mein nahin

    tazkira hi wafa ka sunta hun

    ye kisi mein hai ya kisi mein nahin

    us ka milna hai apne khone par

    fil-haqiqat KHuda KHudi mein nahin

    kis se puchhun ki raat kya guzri

    ahl-e-bazm apne hosh hi mein nahin

    wo ghaTa aasman par uTThi

    uzr ab mujh ko mai-kashi mein nahin

    guftugu un ki dosti mein hai

    shak hamein un ki dushmani mein nahin

    hai KHudi aur be-KHudi kuchh aur

    be-KHudi ka maza KHudi mein nahin

    koi chilman uThae baiTha hai

    koi apne hawas hi mein nahin

    ghaur se dekhiye to sab kuchh hai

    kaun si baat aadmi mein nahin

    ye bhi ho wo bhi ho to lutf aae

    kuchh nahin lag agar lagi mein nahin

    kaun sa wasf kaun si KHubi

    hazrat-e-'nuh-narwi' mein nahin

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now