main kisi taur bana paya nahin kaam ka dukh
maiñ kisī taur banā paaya nahīñ kaam kā dukh
so mire paas bachā bhī to faqat naam kā dukh
aaj ham par yuuñ khulā gardish-e-ayyām kā dukh
jaise khultā hai janak-nandinī pe raam kā dukh
kis ko ma.alūm huā hai dil-e-nākām kā dukh
kis pe hotā hai ayaañ āḳhirī paiġhām kā dukh
ghar meñ baiThūñ to khaTaktī hai ḳhamoshī kī sadā
dasht ko jā.ūñ to rahtā hai dar-o-bām kā dukh
raushnī kā hī maiñ hissa thā magar ism-e-shafaq
mere hisse meñ rahā sub.h kā ġham shaam kā dukh
ek to sīñchne kā dard lahū se tujh ko
tis par ai shāḳh terī hasrat-e-gulfām kā dukh
aur sab kuchh to chale chhoḌ ke 'naqqāsh' miyāñ
rah gayā sar pe sar-e-shām sar-e-shām kā dukh
main kisi taur bana paya nahin kaam ka dukh
so mere pas bacha bhi to faqat nam ka dukh
aaj hum par yun khula gardish-e-ayyam ka dukh
jaise khulta hai janak-nandini pe ram ka dukh
kis ko malum hua hai dil-e-nakaam ka dukh
kis pe hota hai ayan aaKHiri paigham ka dukh
ghar mein baiThun to khaTakti hai KHamoshi ki sada
dasht ko jaun to rahta hai dar-o-baam ka dukh
raushni ka hi main hissa tha magar ism-e-shafaq
mere hisse mein raha subh ka gham sham ka dukh
ek to sinchne ka dard lahu se tujh ko
tis par ai shaKH teri hasrat-e-gulfam ka dukh
aur sab kuchh to chale chhoD ke 'naqqash' miyan
rah gaya sar pe sar-e-sham sar-e-sham ka dukh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.