main kisi zarre ko KHurshid nahin karta hun
maiñ kisī zarre ko ḳhurshīd nahīñ kartā huuñ
aur ḳhurshīd kī tardīd nahīñ kartā huuñ
shā'irī merī mirā ġham hai mirā apnā ġham
maiñ kabhī 'mīr' kī taqlīd nahīñ kartā huuñ
maiñ ne sochā thā bhalā hogā adab kā lekin
aisī hālat hai ki tanqīd nahīñ kartā huuñ
tere kahne se koī farq nahīñ paḌnā hai
maiñ to ḳhud apnī hī tā.īd nahīñ kartā huuñ
kyā patā mujh se tirī soch alag ho shāyad
mashvara detā huuñ tākīd nahīñ kartā huuñ
tū to merā hai mire yaar kam-az-kam tujh se
aisī bātoñ kī maiñ ummīd nahīñ kartā huuñ
ab mirā chāñd kahīñ aur chamaktā hogā
bas yahī soch ke maiñ 'iid nahīñ kartā huuñ
maiñ mujaddid bhī agar huuñ to suno dīvāno
maz.hab-e-‘ishq meñ tajdīd nahīñ kartā huuñ
main kisi zarre ko KHurshid nahin karta hun
aur KHurshid ki tardid nahin karta hun
sha'iri meri mera gham hai mera apna gham
main kabhi 'mir' ki taqlid nahin karta hun
main ne socha tha bhala hoga adab ka lekin
aisi haalat hai ki tanqid nahin karta hun
tere kahne se koi farq nahin paDna hai
main to KHud apni hi taid nahin karta hun
kya pata mujh se teri soch alag ho shayad
mashwara deta hun takid nahin karta hun
tu to mera hai mere yar kam-az-kam tujh se
aisi baaton ki main ummid nahin karta hun
ab mera chand kahin aur chamakta hoga
bas yahi soch ke main 'id nahin karta hun
main mujaddid bhi agar hun to suno diwano
mazhab-e-‘ishq mein tajdid nahin karta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.