main kuchh dinon mein use chhoD jaane wala tha
maiñ kuchh dinoñ meñ use chhoḌ jaane vaalā thā
jahāz ġharq huā jo ḳhazāne vaalā thā
guloñ se bū-e-shikast uTh rahī hai naġhmagaro
yahīñ kahīñ koī kuuze banāne vaalā thā
ajiib haal thā is dasht kā maiñ aayā to
na ḳhaak thī na koī ḳhaak uḌāne vaalā thā
tamām dost alaav ke gird jam.a the aur
har ek apnī kahānī sunāne vaalā thā
kahānī jis meñ ye duniyā na.ī thī achchhī thī
aur is pe vaqt burā vaqt aane vaalā thā
bas ek ḳhvāb kī duurī pe thā vo shahr jahāñ
maiñ apne naam kā sikka chalāne vaalā thā
shajar ke saath mujhe bhī hilā gayā 'bābar'
vo sāneha jo use pesh aane vaalā thā
main kuchh dinon mein use chhoD jaane wala tha
jahaz gharq hua jo KHazane wala tha
gulon se bu-e-shikast uTh rahi hai naghmagaro
yahin kahin koi kuze banane wala tha
ajib haal tha is dasht ka main aaya to
na KHak thi na koi KHak uDane wala tha
tamam dost alaw ke gird jama the aur
har ek apni kahani sunane wala tha
kahani jis mein ye duniya nai thi achchhi thi
aur is pe waqt bura waqt aane wala tha
bas ek KHwab ki duri pe tha wo shahr jahan
main apne nam ka sikka chalane wala tha
shajar ke sath mujhe bhi hila gaya 'babar'
wo saneha jo use pesh aane wala tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.