main kya bataun tujhko meri jaan rah gae
maiñ kyā batā.ūñ tujh ko mirī jaan rah ga.e
ye nabz tham ga.ī magar armān rah ga.e
is mausam-e-fasurda nigāhī ke hī sabab
phūloñ ke muntazir mire gul-dān rah ga.e
chashm-e-ġhazāl dasht-e-tamannā ko dekh kar
dīda-vrān-e-shahar bhī hairān rah ga.e
aisī havā-e-vahshat-e-āvārgāñ chalī
shahzādiyoñ ke jhiil pe sāmān rah ga.e
mujh se gila fuzūl hai jab ḳhud hī aap ko
ahd-e-vafā na yaad na paimān rah ga.e
ham surḳh hoñT vaalī zuleḳhā ke ishq meñ
kāfir hī ho sake na musalmān rah ga.e
main kya bataun tujh ko meri jaan rah gae
ye nabz tham gai magar arman rah gae
is mausam-e-fasurda nigahi ke hi sabab
phulon ke muntazir mere gul-dan rah gae
chashm-e-ghazal dasht-e-tamanna ko dekh kar
dida-wran-e-shahar bhi hairan rah gae
aisi hawa-e-wahshat-e-awargan chali
shahzadiyon ke jhil pe saman rah gae
mujh se gila fuzul hai jab KHud hi aap ko
ahd-e-wafa na yaad na paiman rah gae
hum surKH honT wali zuleKHa ke ishq mein
kafir hi ho sake na musalman rah gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.