main kya hun aur kyon hun use bhi KHabar to ho
main kya hun aur kyon hun use bhi KHabar to ho
Ghulam Mustafa Faraz
MORE BYGhulam Mustafa Faraz
maiñ kyā huuñ aur kyoñ huuñ use bhī ḳhabar to ho
is par bhī aa.ina kabhī merā hunar to ho
dar-parda vāpsī ko haiñ tayyār anā-parast
gum-gashta manziloñ kī magar rahguzar to ho
betāb har nigāh hai uThne ke vāste
jaltā huā charāġh koī baam par to ho
neze kī nok par jo na uchhle to kyā kare
dastār ke liye kisī shāne pe sar to ho
dekhūñ kahāñ se maiñ ravish-e-gul chaman chaman
dīvār meñ kahīñ koī rauzan yā dar to ho
āḳhir shanāvarī kā bhī rakhnā hai kuchh bharam
dariyā meñ Dūbne ko kam-az-kam bhañvar to ho
mehvar se haT ke aap hī gardish kare zamīñ
thoḌā sā kā.enāt meñ zer-o-zabar to ho
main kya hun aur kyon hun use bhi KHabar to ho
is par bhi aaina kabhi mera hunar to ho
dar-parda wapsi ko hain tayyar ana-parast
gum-gashta manzilon ki magar rahguzar to ho
betab har nigah hai uThne ke waste
jalta hua charagh koi baam par to ho
neze ki nok par jo na uchhle to kya kare
dastar ke liye kisi shane pe sar to ho
dekhun kahan se main rawish-e-gul chaman chaman
diwar mein kahin koi rauzan ya dar to ho
aaKHir shanawari ka bhi rakhna hai kuchh bharam
dariya mein Dubne ko kam-az-kam bhanwar to ho
mehwar se haT ke aap hi gardish kare zamin
thoDa sa kaenat mein zer-o-zabar to ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.