main kya kahun ki ye kyunkar udas rahta hai
maiñ kyā kahūñ ki ye kyūñkar udaas rahtā hai
tumhāre baad to dil mahv-e-yās rahtā hai
maiñ kyā karūñgā bhalā ziist bin tire jānāñ
kahīñ rahūñ maiñ ye dil bad-havās rahtā hai
na-jāne kaise aziyyat sameTtā hī rahā
vafā-shanās jo dil kī asaas rahtā hai
maiñ kyoñ kahūñ ki maiñ tanhā huuñ hijr kā maarā
vo ban ke ḳhushbū yahīñ ās-pās rahtā hai
maiñ ban ke us kī tamannā uḌā phirūñ tanhā
vo ban ke merī vafā kā libās rahtā hai
main kya kahun ki ye kyunkar udas rahta hai
tumhaare baad to dil mahw-e-yas rahta hai
main kya karunga bhala zist bin tere jaanan
kahin rahun main ye dil bad-hawas rahta hai
na-jaane kaise aziyyat sameTta hi raha
wafa-shanas jo dil ki asas rahta hai
main kyon kahun ki main tanha hun hijr ka mara
wo ban ke KHushbu yahin aas-pas rahta hai
main ban ke us ki tamanna uDa phirun tanha
wo ban ke meri wafa ka libas rahta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.