main kya karun ki nahin dil pe iKHtiyar mujhe
maiñ kyā karūñ ki nahīñ dil pe iḳhtiyār mujhe
vagarna terī mohabbat hai nāgavār mujhe
na din ko chain na rātoñ ko hai qarār mujhe
bas ab to rahne de tanhā ḳhayāl-e-yār mujhe
lipaT ke so ga.iiñ sāhil se jab thakī maujeñ
vo yaad aa.e sar-e-shām baar baar mujhe
maiñ thak chalā huuñ ġham-e-zindagī kī rāhoñ meñ
kahāñ hai ai ġham-e-jānāñ zarā pukār mujhe
nikal gayā huuñ bahut duur manzil-e-dil se
pukārtī hai magar terī rahguzār mujhe
bhare haiñ zaḳhm-e-mohabbat baḌī musībat se
ilāhī dekh ke un ko na aa.e pyaar mujhe
na koī aisī tavaqqo na rasm-o-rāh-e-payām
na jaane kyuuñ hai tire ḳhat kā intizār mujhe
main kya karun ki nahin dil pe iKHtiyar mujhe
wagarna teri mohabbat hai nagawar mujhe
na din ko chain na raaton ko hai qarar mujhe
bas ab to rahne de tanha KHayal-e-yar mujhe
lipaT ke so gain sahil se jab thaki maujen
wo yaad aae sar-e-sham bar bar mujhe
main thak chala hun gham-e-zindagi ki rahon mein
kahan hai ai gham-e-jaanan zara pukar mujhe
nikal gaya hun bahut dur manzil-e-dil se
pukarti hai magar teri rahguzar mujhe
bhare hain zaKHm-e-mohabbat baDi musibat se
ilahi dekh ke un ko na aae pyar mujhe
na koi aisi tawaqqo na rasm-o-rah-e-payam
na jaane kyun hai tere KHat ka intizar mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.