main kya tha aur ab kya ho gaya hun
maiñ kyā thā aur ab kyā ho gayā huuñ
mohabbat karke tanhā ho gayā huuñ
musalsal chashm tar rahtī hai merī
maiñ yādoñ kā ḳhazāna ho gayā huuñ
merī in chashm meñ dekho zarā sā
tirī manzil kā rasta ho gayā huuñ
mujhe to sunñe de jhūTī tasallī
bahā ke aañsū dariyā ho gayā huuñ
ye dariyā mīThe paanī kā nahīñ hai
maiñ dard-o-ġham se khārā ho gayā huuñ
mere zaḳhmoñ pe marham mat lagāo
maiñ zaḳhmoñ kā sahārā ho gayā huuñ
shaboñ meñ chīḳhtā rahtā hai 'kātib'
tere jaane se sahrā ho gayā huuñ
main kya tha aur ab kya ho gaya hun
mohabbat karke tanha ho gaya hun
musalsal chashm tar rahti hai meri
main yaadon ka KHazana ho gaya hun
meri in chashm mein dekho zara sa
teri manzil ka rasta ho gaya hun
mujhe to sunne de jhuTi tasalli
baha ke aansu dariya ho gaya hun
ye dariya miThe pani ka nahin hai
main dard-o-gham se khaara ho gaya hun
mere zaKHmon pe marham mat lagao
main zaKHmon ka sahaara ho gaya hun
shabon mein chiKHta rahta hai 'katib'
tere jaane se sahra ho gaya hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.