Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

main laDkhaDaya to mujhko gale lagane lage

Sultan Akhtar

main laDkhaDaya to mujhko gale lagane lage

Sultan Akhtar

MORE BYSultan Akhtar

    maiñ laḌkhaḌāyā to mujh ko gale lagāne lage

    gunāhgār bhī merī hañsī uḌāne lage

    mirī qadīm rivāyat ko āzmāne lage

    muḳhālifīn bhī ab kashtiyāñ jalāne lage

    dil-e-harīs se ta.amīr havas na ga.ī

    vo sat.h-e-āb pe kāġhaz ghar banāne lage

    kisī rāh-e-munavvar meñ mo.ajaza ye huā

    hamāre naqsh-e-kaf-e-pā bhī jagmagāne lage

    na jaane kis hameñ intizār rahne lagā

    ki tāq-e-dil pe diyā roz ham jalāne lage

    hue kuchh itne mohazzab ki saañs ghuTne lagī

    junūñ-pasand gale tak baTan lagāne lage

    jinhoñ ne kāñToñ pe chalnā hameñ sikhāyā thā

    hamārī raah meñ vo phuul ab bichhāne lage

    shurūa ho gayā āñkhoñ meñ jashn-e-ḳhush-ḳhvābī

    huī jo raat to har samt shāmiyāne lage

    main laDkhaDaya to mujh ko gale lagane lage

    gunahgar bhi meri hansi uDane lage

    meri qadim riwayat ko aazmane lage

    muKHalifin bhi ab kashtiyan jalane lage

    dil-e-haris se tamir ki hawas na gai

    wo sath-e-ab pe kaghaz ka ghar banane lage

    kisi ki rah-e-munawwar mein moajaza ye hua

    hamare naqsh-e-kaf-e-pa bhi jagmagane lage

    na jaane kis ka hamein intizar rahne laga

    ki taq-e-dil pe diya roz hum jalane lage

    hue kuchh itne mohazzab ki sans ghuTne lagi

    junun-pasand gale tak baTan lagane lage

    jinhon ne kanTon pe chalna hamein sikhaya tha

    hamari rah mein wo phul ab bichhane lage

    shurua ho gaya aankhon mein jashn-e-KHush-KHwabi

    hui jo raat to har samt shamiyane lage

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Sultan Akhtar

    Sultan Akhtar

    Sultan Akhtar

    Sultan Akhtar

    RECITATIONS

    Sultan Akhtar

    Sultan Akhtar,

    Sultan Akhtar

    main laDkhaDaya to mujhko gale lagane lage Sultan Akhtar

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now