main lamha lamha nae apne KHadd-o-Khaal mein tha
maiñ lamha lamha na.e apne ḳhadd-o-ḳhāl meñ thā
ki jo bhī kuchh thā maiñ apnī shikast-e-hāl meñ thā
nazar paḌā to vo aise na dekhā ho jaise
vo aks aks thā aur apne hī jamāl meñ thā
tire ḳhayāl se maiñ is qadar huā mānūs
tū sāmne thā magar maiñ tire ḳhayāl meñ thā
shikast-o-reḳht ne hī mujh ko ḳhud-kafīl kiyā
thā zaḳhm zaḳhm magar apne indimāl meñ thā
tumhāre va.ade se sadiyoñ kī umr le aayā
jo lamha qurbat-o-dūrī ke ittisāl meñ thā
main lamha lamha nae apne KHadd-o-KHal mein tha
ki jo bhi kuchh tha main apni shikast-e-haal mein tha
nazar paDa to wo aise na dekha ho jaise
wo aks aks tha aur apne hi jamal mein tha
tere KHayal se main is qadar hua manus
tu samne tha magar main tere KHayal mein tha
shikast-o-reKHt ne hi mujh ko KHud-kafil kiya
tha zaKHm zaKHm magar apne indimal mein tha
tumhaare wade se sadiyon ki umr le aaya
jo lamha qurbat-o-duri ke ittisal mein tha
- Book : Meri Gazal (Pg. 17)
- Author : karar Noori
- Publication : Rooh-e-Asar (Ishaat Ghar) (1983)
- Edition : 1983
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.