main lauh-e-arz pe nazil hua sahifa hun
maiñ lauh-e-arz pe nāzil huā sahīfa huuñ
diloñ pe sabt huuñ peshāniyoñ pe likkhā huuñ
purānī rut mirā muzhda sunā ke jaatī hai
na.ī rutoñ ke jilau meñ sadā utartā huuñ
maiñ kaun huuñ mujhe sab pūchhne se Darte haiñ
maiñ roz ek na.e karb se guzartā huuñ
maiñ ek zinda haqīqat huuñ kaun jhuTlā.e
jo hoñT band raheñ aañkh se chhalaktā huuñ
khulī havā meñ jo aa.uuñ to raakh ban jā.ūñ
abhī maiñ zer-e-zamīñ huuñ magar ubaltā huuñ
kisī tarah to saveroñ kī aañkh khul jaa.e
maiñ shahr shahr meñ sūraj uThā.e chaltā huuñ
main lauh-e-arz pe nazil hua sahifa hun
dilon pe sabt hun peshaniyon pe likkha hun
purani rut mera muzhda suna ke jati hai
nai ruton ke jilau mein sada utarta hun
main kaun hun mujhe sab puchhne se Darte hain
main roz ek nae karb se guzarta hun
main ek zinda haqiqat hun kaun jhuTlae
jo honT band rahen aankh se chhalakta hun
khuli hawa mein jo aaun to rakh ban jaun
abhi main zer-e-zamin hun magar ubalta hun
kisi tarah to saweron ki aankh khul jae
main shahr shahr mein suraj uThae chalta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.