main likh kar ho sakunga surKH-ru kya
maiñ likh kar ho sakūñgā surḳh-rū kyā
qalam kyā aur qalam kī aabrū kyā
na sochā kāTne vaale ne itnā
harī Daalī kī thī kuchh aarzū kyā
zarā jaage to ham sīna-sipar hoñ
anā ko jo sulā de vo lahū kyā
zamīñ ko āb-o-dāna de ke dekho
khilā detī hai gulzār-e-numū kyā
adū ko zer kar lo fāsloñ se
laḌā.ī ab hai lāzim dū-ba-dū kyā
main likh kar ho sakunga surKH-ru kya
qalam kya aur qalam ki aabru kya
na socha kaTne wale ne itna
hari Dali ki thi kuchh aarzu kya
zara jage to hum sina-sipar hon
ana ko jo sula de wo lahu kya
zamin ko aab-o-dana de ke dekho
khila deti hai gulzar-e-numu kya
adu ko zer kar lo faslon se
laDai ab hai lazim du-ba-du kya
- Book : Aiwan (Pg. 15)
- Author : Manazir Ashiq Harganvi & Shahid Nayeem
- Publication : Nirali Duniya (1998)
- Edition : 1998
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.