main manzar hun pas-e-manzar se mera rishta bahut
main manzar hun pas-e-manzar se mera rishta bahut
Krishna Kumar Toor
MORE BYKrishna Kumar Toor
maiñ manzar huuñ pas-e-manzar se merā rishta bahut
āḳhir merī peshānī par sūraj chamkā bahut
jaane kaun se ism-e-anā ke ham zindānī the
tere naam ko le kar ham ne ḳhudā ko chāhā bahut
un se kyā rishta thā vo kyā mere lagte the
girne lage jab peḌ se patte to maiñ royā bahut
kaisī masāfat sāmne thī aur safar thā kaisā lahū
maiñ ne us ko us ne mujh ko muḌ ke dekhā bahut
kis ke dast-e-savāl meñ hai ik lambī chup kā charāġh
jhāñktā hai kyuuñ ik khiḌkī se koī chehra bahut
hai dariyā ke lams pe nāzāñ ik kāġhaz kī naav
sūraj se bāteñ kartā hai ek darīcha bahut
saarī umr kisī kī ḳhātir suulī pe laTkā rahā
shāyad 'tūr' mere andar ik shaḳhs thā zinda bahut
main manzar hun pas-e-manzar se mera rishta bahut
aaKHir meri peshani par suraj chamka bahut
jaane kaun se ism-e-ana ke hum zindani the
tere nam ko le kar hum ne KHuda ko chaha bahut
un se kya rishta tha wo kya mere lagte the
girne lage jab peD se patte to main roya bahut
kaisi masafat samne thi aur safar tha kaisa lahu
main ne us ko us ne mujh ko muD ke dekha bahut
kis ke dast-e-sawal mein hai ek lambi chup ka charagh
jhankta hai kyun ek khiDki se koi chehra bahut
hai dariya ke lams pe nazan ek kaghaz ki naw
suraj se baaten karta hai ek daricha bahut
sari umr kisi ki KHatir suli pe laTka raha
shayad 'tur' mere andar ek shaKHs tha zinda bahut
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.