main masiha na sahi kuchh bhi tera gham dekhun
maiñ masīhā na sahī kuchh bhī tirā ġham dekhūñ
tere hoñToñ pe hañsī aañkh meñ shabnam dekhūñ
kab talak tazkira-e-shahr-e-vafā suntī rahūñ
kab talak duur se is shahr ke mausam dekhūñ
tū mire ḳhvāb mire dā.era-e-shab se na chhīn
yuuñ bhī maiñ apne sitāre baḌe maddham dekhūñ
jis ke nashtar se bhaḌaktī hai mire ġham kī lau
kitnī vahshat se usī haath meñ marham dekhūñ
terī vaadī meñ to bikhre haiñ 'humairā' nauhe
us ke gul-pāsh jazīre meñ bhī mātam dekhūñ
main masiha na sahi kuchh bhi tera gham dekhun
tere honTon pe hansi aankh mein shabnam dekhun
kab talak tazkira-e-shahr-e-wafa sunti rahun
kab talak dur se is shahr ke mausam dekhun
tu mere KHwab mere daera-e-shab se na chhin
yun bhi main apne sitare baDe maddham dekhun
jis ke nashtar se bhaDakti hai mere gham ki lau
kitni wahshat se usi hath mein marham dekhun
teri wadi mein to bikhre hain 'humaira' nauhe
us ke gul-pash jazire mein bhi matam dekhun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.