main masrur hun us se mahjur ho kar
maiñ masrūr huuñ us se mahjūr ho kar
ki mujh se milā vo bahut duur ho kar
tirī shān-e-jiddat-pasandī ke qurbāñ
ki muḳhtār Thahrā maiñ majbūr ho kar
vo shakleñ jo dil meñ kabhī jalva-gar thiiñ
nazar aa.eñ barq sar-e-tūr ho kar
uThā Daale saare hijābāt maiñ ne
sharāb-e-mohabbat se maḳhmūr ho kar
umīdoñ kī duniyā na ho jaa.e vīrāñ
fareb-e-tajassus na de duur ho kar
jo milnā na 'sāqib' se tum chāhte the
to kyuuñ us ko āvāz dī duur ho kar
main masrur hun us se mahjur ho kar
ki mujh se mila wo bahut dur ho kar
teri shan-e-jiddat-pasandi ke qurban
ki muKHtar Thahra main majbur ho kar
wo shaklen jo dil mein kabhi jalwa-gar thin
nazar aaen barq sar-e-tur ho kar
uTha Dale sare hijabaat main ne
sharab-e-mohabbat se maKHmur ho kar
umidon ki duniya na ho jae viran
fareb-e-tajassus na de dur ho kar
jo milna na 'saqib' se tum chahte the
to kyun us ko aawaz di dur ho kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.