main mil ka patthar na Dagar dekh raha hun
maiñ miil kā patthar na Dagar dekh rahā huuñ
pairoñ pe jamī gard-e-safar dekh rahā huuñ
tārīkī nazar aatī hai kuchh logoñ ko lekin
maiñ haml meñ is shab ke sahar dekh rahā huuñ
ye amn kī dhartī hai magar aaj yahāñ par
takrār kā aalam hai jidhar dekh rahā huuñ
vāqif nahīñ hamsā.e ke ahvāl se lekin
T-V pe zamāne kī ḳhabar dekh rahā huuñ
uḌne kī havas meñ na kahīñ jaan gañvā de
chyūñTī ke nikal aa.e haiñ par dekh rahā huuñ
peshānī-e-hākim pe shikan aa ga.ī 'anjum'
mahkūm kī aahoñ kā asar dekh rahā huuñ
main mil ka patthar na Dagar dekh raha hun
pairon pe jami gard-e-safar dekh raha hun
tariki nazar aati hai kuchh logon ko lekin
main haml mein is shab ke sahar dekh raha hun
ye amn ki dharti hai magar aaj yahan par
takrar ka aalam hai jidhar dekh raha hun
waqif nahin hamsae ke ahwal se lekin
T-V pe zamane ki KHabar dekh raha hun
uDne ki hawas mein na kahin jaan ganwa de
chyunTi ke nikal aae hain par dekh raha hun
peshani-e-hakim pe shikan aa gai 'anjum'
mahkum ki aahon ka asar dekh raha hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.