main mohabbat ke maron ki duniya se hun
maiñ mohabbat ke māroñ kī duniyā se huuñ
mujh se kiije vafā saḳht mushkil meñ huuñ
duur tak dard kī sarhadeñ jā chukīñ
koī de do davā saḳht mushkil meñ huuñ
zindagī qaid meñ ik zamāne se hai
ab to kar do rihā saḳht mushkil meñ huuñ
tujh se koī bhalā.ī tavaqqo.a nahīñ
koī kar de bhalā saḳht mushkil meñ huuñ
us kī jaatī hai jis kī ho izzat koī
kyā gayā hai tirā saḳht mushkil meñ huuñ
har-ghaḌī jis ne mushkil meñ Daalā mujhe
mujh se vo kah gayā saḳht mushkil meñ huuñ
chhīn kar pūchhtā hai Thikāne sabhī
hai kahāñ aasrā saḳht mushkil meñ huuñ
jis ko sauñpe the darje hifāzat ke vo
rahzanoñ se milā saḳht mushkil meñ huuñ
kah ke 'mumtāz' yuuñ āzmā.e ga.e
ho ga.ī intihā saḳht mushkil meñ huuñ
ab shash-o-panj meñ mujh ko rahnā nahīñ
ho koī faisla saḳht mushkil meñ huuñ
bhuul baiThe haiñ parvāz kī jab adā
dar qafas kā khulā saḳht mushkil meñ huuñ
main mohabbat ke maron ki duniya se hun
mujh se kije wafa saKHt mushkil mein hun
dur tak dard ki sarhaden ja chukin
koi de do dawa saKHt mushkil mein hun
zindagi qaid mein ek zamane se hai
ab to kar do riha saKHt mushkil mein hun
tujh se koi bhalai tawaqqoa nahin
koi kar de bhala saKHt mushkil mein hun
us ki jati hai jis ki ho izzat koi
kya gaya hai tera saKHt mushkil mein hun
har-ghaDi jis ne mushkil mein Dala mujhe
mujh se wo kah gaya saKHt mushkil mein hun
chhin kar puchhta hai Thikane sabhi
hai kahan aasra saKHt mushkil mein hun
jis ko saunpe the darje hifazat ke wo
rahzanon se mila saKHt mushkil mein hun
kah ke 'mumtaz' yun aazmae gae
ho gai intiha saKHt mushkil mein hun
ab shash-o-panj mein mujh ko rahna nahin
ho koi faisla saKHt mushkil mein hun
bhul baiThe hain parwaz ki jab ada
dar qafas ka khula saKHt mushkil mein hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.