main mohabbat pe KHak Dal aaya
maiñ mohabbat pe ḳhaak Daal aaya
phir achānak tirā ḳhayāl aaya
pahle merī vafā ke daam gire
phir falak se koī vabāl aaya
mere pahlū meñ phir tirā saaya
oḌh kar chāñdnī kī shaal aaya
band gajroñ kā kārobār huā
us kalā.ī pe jab zavāl aaya
mere jaise zamīñ pe rahte haiñ
ik magar husn-e-be-misāl aaya
aag bahtī thī jin dinoñ mujh meñ
kyoñ na dariyā ko ishti’āl aaya
garm bāzār-e-dil huā 'rāval'
ye kahāñ se hai taaza maal aayā
main mohabbat pe KHak Dal aaya
phir achanak tera KHayal aaya
pahle meri wafa ke dam gire
phir falak se koi wabaal aaya
mere pahlu mein phir tera saya
oDh kar chandni ki shaal aaya
band gajron ka karobar hua
us kalai pe jab zawal aaya
mere jaise zamin pe rahte hain
ek magar husn-e-be-misal aaya
aag bahti thi jin dinon mujh mein
kyon na dariya ko ishti’al aaya
garm bazar-e-dil hua 'rawal'
ye kahan se hai taza mal aaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.