main muddat se teri aamad ka yun aalam sajae hun
maiñ muddat se tirī aamad kā yuuñ aalam sajā.e huuñ
ajab hai be-ḳhudī dahlīz pe nazreñ jamā.e huuñ
huī tārīkiyāñ ruḳhsat munavvar ziist hai merī
tumhārī yaad ke jugnū maiñ palkoñ par sajā.e huuñ
phirāyā dar-ba-dar be-kal jahāñ meñ ḳhvāb-o-ḳhvāhish ne
musalsal hai sukūñ armān-o-hasrat ko miTā.e huuñ
mahaktī kaifiyat se hai mo.attar zindagī merī
tumhārī ruuh kī ḳhushbū meñ sāñsoñ meñ basā.e huuñ
ghane ḳhud-ġharzī-o-matalab-parastī ke añdheroñ meñ
vasī.a imdād aur ḳhidmāt kī sham.eñ jalā.e huuñ
main muddat se teri aamad ka yun aalam sajae hun
ajab hai be-KHudi dahliz pe nazren jamae hun
hui tarikiyan ruKHsat munawwar zist hai meri
tumhaari yaad ke jugnu main palkon par sajae hun
phiraya dar-ba-dar be-kal jahan mein KHwab-o-KHwahish ne
musalsal hai sukun arman-o-hasrat ko miTae hun
mahakti kaifiyat se hai moattar zindagi meri
tumhaari ruh ki KHushbu mein sanson mein basae hun
ghane KHud-gharzi-o-matalab-parasti ke andheron mein
wasia imdad aur KHidmat ki shamen jalae hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.