main muntazir hun tu kar hijr ka gila to sahi
maiñ muntazir huuñ tū kar hijr kā gila to sahī
guzāre kaise shab-o-roz ye batā to sahī
maiñ ham-qadam hī nahīñ ham-safar bhī huuñ terī
maiñ apnā haath baḌhā.ūñgī laḌkhaḌā to sahī
pighal na jā.ūñ tire jazboñ kī tapish se maiñ
nigāheñ apnī mire chehre se haTā to sahī
lihāz pichhle ta'alluq kā us ne kuchh to kiyā
mirī sadā pe vo pal bhar ko hī rukā to sahī
maiñ apne she'roñ ke paikar meñ un ko Dhālūñgī
tū apnā hāl-e-ġham-e-dil kabhī sunā to sahī
talab nahīñ na.e qaul-o-qarār kī mujh ko
kiyā thā mujh se jo vā'da kabhī nibhā to sahī
maiñ kaise kah duuñ ki ulfat meñ kuchh nahīñ paayā
milā na vo na sahī us kā ġham milā to sahī
main muntazir hun tu kar hijr ka gila to sahi
guzare kaise shab-o-roz ye bata to sahi
main ham-qadam hi nahin ham-safar bhi hun teri
main apna hath baDhaungi laDkhaDa to sahi
pighal na jaun tere jazbon ki tapish se main
nigahen apni mere chehre se haTa to sahi
lihaz pichhle ta'alluq ka us ne kuchh to kiya
meri sada pe wo pal bhar ko hi ruka to sahi
main apne she'ron ke paikar mein un ko Dhaalungi
tu apna haal-e-gham-e-dil kabhi suna to sahi
talab nahin nae qaul-o-qarar ki mujh ko
kiya tha mujh se jo wa'da kabhi nibha to sahi
main kaise kah dun ki ulfat mein kuchh nahin paya
mila na wo na sahi us ka gham mila to sahi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.